Tuesday 30 September 2014

Aoo Khailain Cricket Cricket...!

Tamasha laga huwa ha abi tak is Mulak-e-khuda dad Pakistan main. Aur ab tu Inqlaab kam aur Circus ziada bann chuka ha yea dharna. Kabi songs, kabi Qawali, Kabi dance, aur kabi Cricket ka match...!
Imran aur Qaadri main sy kisi ka koi mulak ky liya object nahi ha...sirf wo chahty hain ky Mulak khail tamashy main laga rahy aur jo thori buhat taraqi ky chances hain wo bi finish ho jain.
Aaj Mr. Paadri cricket khail kar enjoy kr rahy hain uder baqi siasat daan bi sirf dharnon ki taraf deakh rahy hain ky kya result nikalta ha..
Koi nahi Jo is Mulak ky liya soch raha ho; jab Pakistan ko flood ny nuqsan pohanchaya ha.