Thursday 21 August 2014

Maira (Pakistan) kya Qasoor Hay....!

Jab bi main (Pakistan) taraqi karny lagta hon tu koi na koi aa kr muja tabha krna start kr daita ha. Jaisa ky abi mair industry economy kuch sanmbalny lagi thi tu kuch naam nihad logon ny aa kar phir crisis ka silsala start kr diya ha.
Yea loog Inqlaab ky naam pr Quom ko pagal bana rahy hain aur waisay yeahi asal gandhi sisat ha aur quom muja tabahi ki taraf lijany mian in ka sath dy rahi ha. 
Loog nahi janty ager main (Pakistan) na raha tu in ky pas kya reh jaya ga Inqlaab ky liya. Kya yea muja bi Afghnistan, Bosnia, Ukrain etc ki tara bana na chahty hain. Kash yea Quom Yahoodion ki sari sazish samj jaya. Jo Imran Khan aur Qadri ki surat main hum par nazil hoi ha. 
Aayyyy Loogooooo kya tumain in so called Leaders main koi Ikhlaaq naam ki cheaz nazar ai aur kya tum ny deakha yea Fitna parasat loog kis tarah Rang badalty hain, kis tarah apni kisi baat par qaim nahi reh sakty. Kya ager yea apny ap ko Muslim kehtay hain tu koi aik khoobi tu apny andar paida karin ky Muja (Pakistan) lagy ky yea muja Quaid ka Pakistan banany ja rahy hain.
Yea tu sirf sisast ki Jhang larr rahy hain....Bus aik hi baat PM ki seat...!
PM ki seat bi is waja sy ky IK aur Qadri janty hian ky ager PML N ny five year main development ky kaam krwa diya tu next five year bi isi govt ky hain..14 saal bad phir chinna sy electricity, roads, textile ky agreements PML N ny kiya.! Aaj slowly slowly phir economy ko usi halaat main ly gya ha yea so called INQLAAB.
Pata nahi kab hamari Ankhain open hon gi aur Hum Yahoodion ky sazishon ky samja sakain gy ky wo kis tara humain tabah karna chahty hain aur yea loog unka sath dy rahy hain. Aur Jab main (Pakistan) tabah hony laga tu sab ny foreign wapis chaly jana ha...sab ny is Nation ko choor jana ha! Because koi yahan (Pakistan) Inqlaab nahi laa sakta jb tk har Person apni zaat main inqlaab nahi layaay ga....!
May Allah Blessed you All...!